Khuda ke fazl se main jo bhi kaam karta hoon,

1. Aaghaz (Shuruwat ke Ash’aar aur Salaam)

Khuda ke fazl se main jo bhi kaam karta hoon,
Rasool-e-Paak ka shaamil main usmein naam karta hoon.
Aur shauq se deta hai jo mere salaam ka jawab,
Mera usool hai main usiko salaam karta hoon.

Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi Ta’ala wa Barakatuhu.


2. Khutba aur Tilawat-e-Quran

Alhamdulillahi Rabbil Aalameen, wal aaqibatu lil muttaqeen, wassalatu wassalamu ala Sayyidil Mursaleen, wa ala aalihi wa ashabihi ajma’een.
Amma ba’d, fa a’uzu billahi minash shaitanir rajeem, Bismillahir Rahmanir Raheem:

“Inna nahnu nazzalna-zzikra wa inna lahu lahafizoon.”

Sadaqallahu Maulana-l-Azeem, wa ballaghana ala Rasoolihin-Nabiyyil Ameenil Mu’eenil Mateenil Kareem, wa nahnu ala zalika laminash-shahideen wash-shakireen waz-zakireen, walhamdulillahi Rabbil Aalameen.


3. Tamheed aur Ash’aar

Aaiye hazraat, kuch sunne aur sunane se pehle…
Hazraat-e-mohtaram, shayar ne kya hi khoob kaha hai:

Chiragh apne muqaddar ka jala le jiska ji chahe,Maqaam-e-zeest ko ooncha bana le jiska ji chahe.Aur yeh mehfil Sarwar-e-Kaunain ki pakeeza mehfil hai,Yahan rehmat barasti hai naha le jiska ji chahe.Aur jahan zikr-e-Habeeb hota hai, khud Khuda bhi qareeb hota hai,Unki mehfil mein baithne wala aadmi khushnaseeb hota hai.


4. Durood-o-Salaam

Aaiye hum sab milkar Shah-e-Bahrobar, Maalik-e-Khushk-o-tar, Allah ke Paighambar, hum sabke Rehbar, Mehboob-e-Dawar, Shafi-e-Roz-e-Mehshar, Sahib-e-Inna A’tainakal Kausar, Shafi-ul-Muznibeen, Anees-ul-Ghareebeen, Rahmatul-lil-Aalameen, Mairaj-ul-Mushtaqeen, Shams-ul-Aarifeen, Siraj-us-Salikeen, Misbah-ul-Muqarrabeen, Haq ke matloob, Dana-e-Ghuyoob, Ahmad-e-Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki bargaah-e-bekas-panaah mein durood-o-salaam ka jhoom-jhoom kar nazrana-e-aqeedat pesh karein.

Padhein ba-awaz-e-buland:
Allahumma salli ala Sayyidina wa Shafi’ina wa Habibina wa Kareemina wa Maulana Muhammadin wa barik wa sallim. Sallu alaihi salatan wa salaman alaika ya Rasoolallah Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam.

Wah kya martaba-e-Ghaus hai baala tera,Oonche oonchon ke saron se hai qadam aala tera.Aur sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera,Auliya malte hain aankhein woh hai talwa tera.


5. Asal Taqreer (Quran ki Hifazat aur Azmat)

Hazraat-e-girami! Allah Ta’ala ne Quran Shareef mein irshad farmaya:
“Inna nahnu nazzalna-zzikra wa inna lahu lahafizoon”
Beshak humne hi isko nazil kiya, aur hum hi iski hifazat karne wale hain.

Aasmani kitabein aur bhi hain, aasmani sahife bhi hain, lekin hamare tumhare Rab ne kisi kitab ki zimmedari nahi li. Aasmani kitabein bhi hain, duniyavi kitabein bhi hain. Injeel bhi hai, Taurait bhi hai, Zaboor bhi hai, Quran Majeed bhi hai. Lekin Allah Ta’ala ne sirf Quran Majeed ki zimmedari li.

Aur bulandi ko samajhne ke liye ek misaal bayan karna chahta hoon. Agar hum saari kitabon ko samandar ke andar daal dein — Taurait ko samandar ke andar daal diya jaye, Injeel ko samandar ke andar daal dein, Zaboor ko samandar ke andar daal dein, Quran Majeed ko samandar ke andar daal dein — phir iske baad saari kitabon ke naam lekar pukara jaye: “Aye Injeel tu aaja, aye Taurait tu bhi aaja, aye Zaboor tu bhi aaja…”

Laiq-e-ehtiram same’een! Magar saari ki saari kitabein khamosh padi hongi. Jab Quran Shareef ko pukara jayega, toh Hindustan ki sarzameen par hazaron Huffaz-e-Ikraam seena thok ke khade ho jayenge aur kahenge: jab tak Musalman zinda hai, jab tak Musalman ke seene mein Islam aur Quran zinda hai!

Tabhi toh Aala Hazrat Fazil-e-Barelvi Alaihir-Rahmatu-war-Rizwan bayan farmate hain:

Allah ki sar ta ba qadam shaan hain ye,Insaan nahi insaan wo insaan hain ye.Quran toh Imaan batata hai inhein,Imaan yeh kehta hai meri jaan hain ye.

Hamare tumhare Paighambar Muhammadur Rasoolullah saare nabiyon mein lajawab.
Mere Nabi par nazil hone wali kitab Quran Majeed saari kitabon mein lajawab.
Mere Nabi ki ummat saari ummaton mein lajawab.
Mere Nabi ka laya hua mazhab saare mazhabon mein lajawab.
Mere Nabi ki ummat saari ummaton mein lajawab.
Mere Nabi ki shaan lajawab, mere Nabi ki zabaan lajawab.

Hazraat-e-girami! Ab Quran ki bulandi ko dekho:
Jab yeh Quran juzdaan mein lipat kar rehli mein saj jaye toh teeswan paara hai, lekin iske paare mein hai. Jo Amina ki god mein chadar-e-rehmat odh le, toh Amina ka mahpara hai. Ek chup ho jaye, ek bol de… Jab chup ho jaye woh Kalam-e-Paak hai, jab bol de wahi Rasool-e-Paak hai.

Aye Quran Shareef! Tere do chehre hain: ek tilawat ke liye, ek ziyarat ke liye. Jiski tilawat ki jaye use Kalam-ul-Paak kehte hain, jiska jalwa dekha jaye usiko Muhammad-ur-Rasoolullah kehte hain!

Yeh musallama haqeeqat hai, yeh woh shehanshah-e-darbar hai jahan har saail ki jholi bharti hai, aur har maangne wale ko maangne se siwa milta hai. Yeh woh aastaan-e-aaliya hai yahan jo bhi bhikari bankar aaya woh deen-o-duniya ka taajdar ban gaya.
Zarra tha toh aaftaab ban gaya, adna tha toh aala ban gaya, patthar tha toh laal ban gaya, kaanta tha toh phool ban gaya, bura tha toh achha ban gaya, shaqi tha toh saeed ban gaya, napaak tha toh paak ban gaya, rahzan tha toh rahbar ban gaya, jahannami tha toh jannati ban gaya, zarra tha toh zar ban gaya, qatra tha toh dariya ban gaya, sadaf tha toh gauhar ban gaya, kaala tha toh rashk-e-qamar ban gaya, ghulam tha toh aaqa ban gaya.

Yeh woh darbar-e-aaliya hai jahan Abu Bakr aaya toh Siddique ban gaya, Umar aaya toh Farooq ban gaya, Usman aaya toh Zunnoorain ban gaya, Ali aaya toh Sher-e-Khuda Haider-e-Karrar ban gaya, Habshi aaya toh Quraishon ka sardar ban gaya, faqeer aaya toh ghani ban gaya, Aarabi aaya toh sahabi ban gaya.

Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga, dariya baha diye hain, durr-e-be-baha diye hain! Aur shayar ne kya hi khoob kaha hai:

Mukhtar-e-Kainat hain jo chaho maang lo,Hamare Nabi hayaat hain jo chaho maang lo.Taweez-e-har-bala hai Salli Ala Muhammad,Jo dard la-dawa ho yeh ghol kar pila do,Kya nuskha-e-shifa hai Salli Ala Muhammad!


6. Waqia: Abdur Rahim aur Yahoodi ka Muqabla

Mere Rab ne Quran ki aisi hifazat ki, aisi hifazat ki ke jisne Quran ke tahaffuz ke liye apni jaan luta di, mere Rab ne uski bhi hifazat farma di. Aaiye aisa hi ek waqia aapke rubaru pesh karna chahta hoon.

Ek ghani Musalman tha jiska naam Abdur Rahim tha. Magar woh saum-o-salat ka paband tha. Ma’mool ek Yahoodi ke yahan naukri kiya karta tha. Ma’mool jab subah bedar hota toh Quran-e-Kareem ki tilawat kiya karta tha.

Yahoodi ne ek din dekha, do din dekha, do-chaar mahine dekha, usse raha na gaya. Toh kehne laga: “O Musalman! Tu rehta mere yahan, khata mere yahan, peeta mere yahan, magar kalma apne Nabi ka padhta, kitab apne Nabi ki nazil hui padhta! Agar tujhe mere yahan rehna hai toh kitab mere Nabi ki padhega, kalma mere Nabi ka padhega.”

Musalman kehta hai: “Hargiz nahi! Mere Nabi tere Nabi se afzal hain. Mere Nabi ka laya hua Quran tere Nabi ki kitab se afzal hai.”
Yahoodi kehta hai: “Asal asliyat ka pata nahi chalega. Jab tu apni kitab aag mein daal, main bhi apni kitab aag mein daalunga.”
Musalman kehta hai: “Theek hai.”

Ab Yahoodi ne din muqarrar kar diya. Yahoodi kehta hai: “Jiski kitab jal jaye woh munkir hai, aur jiski kitab bach jaye woh afzal hai.” Musalman kehta hai: “Theek hai.”

Ab Musalman bechara ghareeb insaan tha, naukri kiya karta tha. Ab Musalman ke paas koi chemical nahi the, koi dawaiyan nahi thin woh Quran-e-Kareem mein laga deta. Magar udhar woh Yahoodi ameer shakhs tha, maaldar shakhs tha, usne apni kitab mein tarah-tarah ke chemical lagaye, tarah-tarah ki dawaiyan lagayin.

Hazraat-e-mohtaram! Elaan kar diya gaya ke falan din Musalman aur Yahoodi mein muqabla hai. Musalman ki kitab aur Yahoodi ki kitab mein muqabla hai. Jiski kitab jal jaye woh daave mein jhootha hai, aur jiski kitab bach jaye woh daave mein sachha hai.

Magar woh Musalman Quran-e-Kareem ki tilawat kiya karta tha, woh duaen maangta: “Aye Maula! Yeh Musalman aur Yahoodi ka muqabla nahi, balki ek dushman-e-Islam aur Musalman ka muqabla hai.”

Laiq-e-ehtiram ta’zeem-o-takreem same’een! Din muta’ayyan yaani muqarrara waqt woh aa gaya. Lakhon ki tadaad mein log jama ho gaye. Aag bhadka di gayi. Yahoodi apni chemical lagayi hui kitab lekar pahunch gaya. Musalman bhi apni kitab lekar pahunch gaya.

Yahoodi kehta hai: “Abdur Rahim! Apni kitab aag mein daal.”
Janab-e-Abdur Rahim kehte hain: “Tu apni kitab aag mein daal sakta hai, magar main apni kitab aag mein nahi daal sakta.”
Yahoodi poochta hai: “Kyun?”
Toh Musalman jawab deta hai: “Aag mein daalna be-adabi hai. Chal tu apni kitab aag mein lekar kood ja, main bhi apni kitab aag mein lekar koodta hoon! Jo daave mein jhootha hoga woh jal kar khaak ho jayega, aur jo daave mein sachha hoga woh bach jayega.”

(Note: Video mein yahan se 11:05 se 11:50 tak taqreer ka yehi hissa dobara repeat hua hai, isliye yaad karne ke liye ise ek hi baar rakha gaya hai.)

Ab Yahoodi pareshan ho gaya! Usne apni kitab mein tarah-tarah ke chemical lagaye, tarah-tarah ki dawaiyan lagayin, magar apne mein kuch nahi lagaya tha. Pareshan ho karke tarah-tarah ki baatein karne laga.

Magar woh Aashiq-e-Rasool, woh sachha Quran ka shaidayi, usne dekha ke yahan lakhon ki tadaad mein log jama hain. Agar main Quran-e-Kareem ko haath mein lekar kood jata hoon, toh yahan saare log kalma padh kar Musalman ho jayenge!

Woh Rasool ka deewana, woh Quran-e-Kareem ko haath mein lekar chhalang laga deta hai, yaani kood jata hai! Log samajh rahe the ke jal kar khaak ho jayega. Jab dekha gaya toh Quran-e-Kareem ki tilawat kar raha tha! Padh raha tha: “Inna nahnu nazzalna-zzikra wa inna lahu lahafizoon.” Saare log usi waqt Abdur Rahim ke saath kalma padh kar Musalman ho gaye!


7. Quran ki Tilawat ki Fazilat aur Qayamat ka Manzar

Yeh hai Quran ki azmat! Yeh hai Quran ka e’jaz!
Aye Musalman! Agar tujh par koi pareshani aaye toh Quran-e-Kareem ki tilawat kar!
Agar tu koi gham mein mubtala hai toh Quran-e-Kareem ki tilawat kar!
Agar tu koi bimari mein mubtala hai toh Quran-e-Kareem ki tilawat kar!
Agar azmat chahta hai toh Quran-e-Kareem ki tilawat kiya kar!
Agar waqar chahta hai toh Quran-e-Kareem ki tilawat kiya kar!
Agar Arsh ke kangooron ko samajhna chahta hai toh Quran-e-Kareem ki tilawat kiya kar!

Islam ke muqaddas shehzado! Pata chala, maloom hua ke yeh Quran hamare yahan bhi kamyabi dilata hai. Kal aakhirat ke din yahi Quran hum sabko jannat dilayega! Yahi Quran shakl-e-insaan Allah Ta’ala ki bargaah mein hazir hoga. Allah Ta’ala is Quran ko jannat mein jaane ka hukm dega, magar yeh Quran jannat dakhil nahi hoga.

Poocha jayega: “O Quran! Jannat dakhil kyun nahi hota?”
Toh Quran kahega: “Aye Maula! Main tera muqaddas kalam hoon. Tere bandon ne mujhe padha, jo mujhe choomte the, jo mujhe apne seene se lagaya karte the, jo mujhe chahte the, jo meri tilawat kiya karte the, main unhein lekar jannat mein jaunga!”

Toh Allah Ta’ala farmayega: “Aye mere muqaddas kalam! Ja tujhe ijazat hai! Jo tujhe choomte the, jo tujhe apne seene se lagaya karte the, jo tujhe chahte the, jo teri tilawat kiya karte the, ja unhein lekar jannat mein chala ja!”

Toh jab Allah ka Quran apne chahne walon ko, apne choomne walon ko, apni tilawat karne walon ko lekar jannat mein jayega, jannat ke darwaze khatkhatayega, toh andar se awaz aayegi: “Kaun?”
Toh Quran kahega: “Anal-Quranu wa ma’iyal-Qari”, yaani main Quran hoon aur mere saath mere Qari hain! Phir Quran apne Qariyon ko lekar jannat mein jayega. Yeh darwaze inhi ke liye khole jayenge!

Islam ke muqaddas shehzado! Pata chala, maloom hua ke yeh Quran hamare yahan bhi rehnumai farmata hai, aur kal baroz-e-qayamat ke din yahi Quran hum sabko jannat dilayega. Toh hum sabko chahiye ke hum khud bhi padhein aur apni auladon ko bhi padhayein. Mere Nabi irshad farmate hain:
“Khairukum man ta’allamal-Qurana wa allamahu”, yaani jisne Quran seekha aur doosron ko sikhaya woh tum mein se sabse behtar hai.


8. Dua aur Ikhtitami Nazm

Allah Ta’ala ki bargaah mein dua hai ke hum sabko ilm seekhne aur sikhane ki taufeeq ata farmaye. Aameen, summa Aameen.

Ab main apni taqreer ko yahin khatm karne ke liye ja raha hoon:

Aakhri payam lo, Ali ki zulfiqar lo,Umar ka iqtedar lo, Hasan ka aitebaar lo,Hussain ka shi’ar lo, waqar lo qaraar lo,Mujahid-e-qitaar lo, misaal shandaar lo,Madeene yaadgaar lo, abhi toh naujawan ho, abhi toh naujawan ho!Hareem-e-Kaaba thaam lo, baseerat-e-tamaam lo,Salaam lo kalaam lo, dilawari ki jaan lo,Raza ka haath thaam lo, abhi toh naujawan ho, abhi toh naujawan ho!

Wa aakhiru da’wana anil hamdu lillahi Rabbil Aalameen.
Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi Ta’ala wa Barakatuhu.

Leave a Comment